Monday, 4 November 2013

Hidayat

zindagi mai ham aksar us maqam pr ajaty hain jaha ham bilkul tanha hoty hain.Sirf ham hoty hain or hamara ALLAH hota hay uswaqt ye ehsas hota hay k sirf ALLAH hi hay jo hame is khala mai bhi thamy hoe hy phr pta chalta hay ham zameen pr pari matti ky dhair mai aik zarry sy ziada kch nahi hain lekin jab roshni ya tariki mai sy intekhab ka faisla ham par chor diya jata hay to phr ham chahen to is rasty pr qadam barha den jo roshan hy aur chahen to tariki mai dakhil hojae.
Roshni mai hoty hoe bhi insan ko ankhe khuli rakhni parhti hain.Agr wo thokar khae bagher zindagi ka safar tay karna chahta hay to tariki mai dakhil hony ky bad ankhe khuli rakhy ya band koi farq nhi parhta,tariki thokro ko hamari zindagi ka muqaddar bana deti hay.Lekin aksar tariki mai qadam dharny k bad thokar lagny say pehly hi insan ko pachtawa hony lagta hay aur wo is kamil yaqeen k sath k ALLAH osy bakhsh dega or hidayat ka rasta dikhaega aik naya safar shoro karta hay.

ALLAH pr yaqeen insan ko tariki say roshni tak lata hay kyun ky jo insan hidayat chahta hay osy ALLAH pak hidayat zaroor deta hay.
  

"yaqeenan hidayat unhi ko di jati hy jo hidayat chahty hain".

Ab ye insan ky apny hath mai hy k wo dunya ki asaishaat ky badly akhrat ki zillat sametta hy ya phr akhrat ko tarjih dykr dunya aur akhrat dono mai buland maqam banata hy.Insan hi hota hy jo apny jesy dosry insan ko zalil o ruswa krta hy sirf ALLAH hi hy jo kabhi apny bandy ko ruswa nahi karta,osy aisy maaf kar deta hy jesy usny kabhi koi gunah kia hi na ho warna insan har roz kitny gunah karta hay wo khud nahi janta phir bhi hamara parwardigar kutahiyo ko bakhsh deta hay bs usky agay sachy dil say tauba karny or sir jhukany ki dair hoti hay k wo musallah say othny say pehly hi insan k sary gunah bakhsh deta hay.
 "beshak wo bara hi meherban aur maaf karny wala hay" 


 
ALLAH pak ham sab ko hidayat den sahi rasty par chalny ki jis rasty pr chal kr ham apny ALLAH ko razi kar saken or apni dunya o akhrat sanwar saken.Ameen