Monday, 4 November 2013

Hidayat

zindagi mai ham aksar us maqam pr ajaty hain jaha ham bilkul tanha hoty hain.Sirf ham hoty hain or hamara ALLAH hota hay uswaqt ye ehsas hota hay k sirf ALLAH hi hay jo hame is khala mai bhi thamy hoe hy phr pta chalta hay ham zameen pr pari matti ky dhair mai aik zarry sy ziada kch nahi hain lekin jab roshni ya tariki mai sy intekhab ka faisla ham par chor diya jata hay to phr ham chahen to is rasty pr qadam barha den jo roshan hy aur chahen to tariki mai dakhil hojae.
Roshni mai hoty hoe bhi insan ko ankhe khuli rakhni parhti hain.Agr wo thokar khae bagher zindagi ka safar tay karna chahta hay to tariki mai dakhil hony ky bad ankhe khuli rakhy ya band koi farq nhi parhta,tariki thokro ko hamari zindagi ka muqaddar bana deti hay.Lekin aksar tariki mai qadam dharny k bad thokar lagny say pehly hi insan ko pachtawa hony lagta hay aur wo is kamil yaqeen k sath k ALLAH osy bakhsh dega or hidayat ka rasta dikhaega aik naya safar shoro karta hay.

ALLAH pr yaqeen insan ko tariki say roshni tak lata hay kyun ky jo insan hidayat chahta hay osy ALLAH pak hidayat zaroor deta hay.
  

"yaqeenan hidayat unhi ko di jati hy jo hidayat chahty hain".

Ab ye insan ky apny hath mai hy k wo dunya ki asaishaat ky badly akhrat ki zillat sametta hy ya phr akhrat ko tarjih dykr dunya aur akhrat dono mai buland maqam banata hy.Insan hi hota hy jo apny jesy dosry insan ko zalil o ruswa krta hy sirf ALLAH hi hy jo kabhi apny bandy ko ruswa nahi karta,osy aisy maaf kar deta hy jesy usny kabhi koi gunah kia hi na ho warna insan har roz kitny gunah karta hay wo khud nahi janta phir bhi hamara parwardigar kutahiyo ko bakhsh deta hay bs usky agay sachy dil say tauba karny or sir jhukany ki dair hoti hay k wo musallah say othny say pehly hi insan k sary gunah bakhsh deta hay.
 "beshak wo bara hi meherban aur maaf karny wala hay" 


 
ALLAH pak ham sab ko hidayat den sahi rasty par chalny ki jis rasty pr chal kr ham apny ALLAH ko razi kar saken or apni dunya o akhrat sanwar saken.Ameen
 

Thursday, 31 October 2013

Parvarish



Hamari muashrati zindagi mai kafi tabdiliya aa chuki hain,balky tabdeli ka amal musalsal jaari hay.wo cheze jo kch saal pehly mayoob samjhi jati the,ab inhy qubool kar liya gaya hy.hamary toor tareqy mazhabi hony ky bawajud aam ho chuky hain.Muaashi zarorato ko pora krny k liye maae(mothers) nokri karti hain,aur bachy din ky kaee ghanty walden say door rehty hain.In halaat mai bacho ki parvarish waldain ky liye bohut bara challenge ban chuki hay.

Waldain ko chahye bacho ki jismani,samaji,zehni aur jazbati nasho numa ka khayal rakhen.Jismani nasho numa k liye achi ghiza faraham karna,achi zehni nasho numa k liye pur aman mahool faraham karna aur jazbati nasho numa k liye aisa muhabbat amez mahool faraham karna chahye jaha bachy ko ye ehsas ho ky us say muhabbat ki jarahi hay,jaha insaaf ho,aik dosry ki ezat ki jae,khoof or dhamkiya na ho.

Waldain ko chahye ky bacho ky sath friendly rahen taky bachy har baat share karen.bacho ko har achy kaam par sarahe or kuch ghalat karen to unhe saza bhi den taky unhy apni ghalti ka ehsas ho.Waldain ki muhabbat bachy ky andar aitmad paida karti hy,bacho ko ghehrae mai jakar samajhny ki koshish karen ky wo kia karna chahty hain.Inky khuwab kia hain.

Bachy ALLAH pak ka diya howa khubsurat tohfa hain.Inki parvarish waldain pr farz hy lekin hr bacha alag adat or mizaj ka malik hota hay.bachy ki shakhsiat kesi bhi ho,sabsy aham chez muhabbat hay,is hi muhabbat ki waja say bacha har mushkil waqt ka samna kar pata hy or sath hi kamyab or muashry ka aham rukun ban kar zindagi ko khushgawar tareqy say guzar pata hy.

Value Of "Fashion" In Our Society

Value Of "Fashion" In Our Society



What is Fashion???






Fashion is the thing which change someone's personality.It creates sensibility in people that how to represent their selves in front of others.It plays a vital role to increase one's personality according to their atmosphere and their culture.It increases peoples potential and confidence.

According to survey there are two types of people who adopt fashion.

First those who adopt fashion to survive in a society.

And the second,who just want to be fasionable without any sense.

The people who adopt fashion to survive in a society because they want to prove their selves to society.



They want to show their ability through their outlook because this so cold society judge you according to your personality...not your ability.

Our society gave respect to those who are fashionable as compare to educated and nice peoples.Our youth give more value and time to their looks as compare to enhance their skills.

There are people who adopt fashion as just for fun,or can say:


 

"Burger Banne K Chaker Main Garbar Ban Jate Hain......."

Wednesday, 30 October 2013

Afsos kis per karun????

Afsos Kis Per Karun????



Ye aaj subha ki baat hai jab me or meri dost Aisha mamul ke mutabik bus me university jarahe the, raste me signal per jab hamari bus ruki to barabar me ek school ke bachon se bhari van bhi a khari hui wo bache ek hi uniform me apni tafrihon me masruf the, lekin jab hum ne dekha to wo bache apas me batain to kar rahe the lekin zaban or awaaz se nahi balke wo isharon ki madad se ek dusre ko apni baat samjhane ki koshish kar rahe the. wo van aese bachon ki van thi jis me deaf (behre) or dumb (gunge) bache mojud the. jab hum inhen dekh rahe the to meri dost Aisha ne kaha ke mujhey in ke lie bohat afsos hota hai ke inhe is tarha zindagi guzarni parti hain. Afsos mujhey bhi bohat huwa lekin in bachon per nahi balke apni zaat per ke humen ALLAH ne har nemat se nawaza hai. lekin phir bhi hum us ka shukar ada karne ke bajaye sirf rote rehte hain ke humen ye asaish nahi mili, hamari ye khuahish puri nahi hui, humen zindagi me milne wali is khushi se mehrum rakha hai, agr hume bhi ye mil jata, or bohat kuch. lekin us zaat ne humen jin chizon se nawaza hai us ki qadar nahi krte.
Hum har wakt ye shikayat karte rehte hain ke hamari zindagi me sukun nahi, rahat nahi hai uski ek bunyadi waja ye hai ke hum apni zindagi se mutmaeen nahi hai. Lekin isi afra tafri ki zindagi me jis sukun ki mujhey talash thi wo mujhey aaj in bachon ko dekh kar mayasar hogaya ke kia hojata agr me in bachon me se hoti? lekin aesa nahi huwa Allah ne mujhey ek mukamal zindagi di hai or isi ek ahsas ne mujey apni zindagi se mutmaeen kardia. 
Meri ap sub se bhi yehi guzarish hai ke nashukri kar ke apni zindagi ko azaab me dalne se behter hai un logo ki taraf dekhen jinhen zindagi ki bunyadi chizon se bhi mehrum hain. or apni zindagi se mutameen ho kar ek khushaal zindagi guzaren.  

Thursday, 24 October 2013

Sarapa ahtajaaj



Sarapa Ahtajaaj

“Ahtajaj” ye word ap logo ke lie naya nae hoga kyun ke aj kal khususan Pakistan ki awaam k lie ye unki zindagi ka hisa ban chukka hai. Khabhi bijli or pani ki bandish per to khabhi kisi apne k bichar jane per ahtajaj kia jata hai.Ahtajaj karna her kisi ka haq hai or jamhuriat ka usul bhi hai, kyun ke awaam jab ek shaks ka intakhaab kar ke use tamam iktadar deti hai to is baat ki tawako bhi karti hai ke unka muntakhib kardo numainda un ke tamam masail ko hal krne ki koshish krega lekin umeeden jab totti hain to awaam ka gusa ahtajaj ki surat me hamare samne ata hai. Aaj Pakistani awaam ke pass na bigli hai na pani hai, parhai karne k paise nahi or paise kamane ke lie nokriyan nahi hia aesi halat me ahtajaj karna jaiz hai. ajj pur duniya Pakistanion ki is halat se wakif hai lekin jin ko ye masail hal karne chahiye wo yun lagta hai jese ghandi k 3 bandaron ki manind ho. Awaam ki ye halat unhen unhe dikhai nae deti na awaam ki chikh o pukaar unhe sunai deti hai or jab wo na kuch sunte hai na dekhte hai to bolne ka sawal hi paida nae hota.


Sabar karne or chup rehna Pakistani awaam ki taqdeer ban chuka hai lekin kab tak koi barashst kr sakta hai ek na ek din to un ke sabar ka pemana labraiz hona hai or jab ye hota hai to Pakistani awaam sarko per tyre jala kr ya tor phor kr ke apne gum o guse ka izhar karte hain jise aj kal hum ahtajaj kehte hain. 




 Ahtajaj krna koi burai nahi balke ye ek jaiz tareeka hai ke hum ahtajaj ke zariye apni baat hukumat k logo tak pohchaye lekin ye us wakt mumkin hai ke jab hum ahtajaj ka wo tareeka apnaye jis se hukumat ke logo per koi asar ho or wo hamari baat sun kar hamare masail hal karne ki  koshish karen. Sarko per tyre jalana, gariyon or motocycles ko nazar-e-atish karna, karobar band karwana, dukano tor phor karna, rellies nikalna, ya phir bare bare bord per kuch tehreer kar ke sarko per beth jana, police or media k bandon per pathrao karna ahtajaj nahi, in sub ko karne se hukumat ya hukumat ke logo ko koi nukhsan nahi pohch raha balke hum apne hi logo ko jo pehle hi itne mushkil halaat me hain uno ki pareshaniyon me izafa karte hain. relly ke doran ghnaton traffic jam rehta hai jis k bais log apne officces or students apni colleges ya university nahi pohch sakte, aye din ahtajaj ke naam per university ya board ke papers ko cancle kr dia jata hai jis ki waja se hamare mulk ka taleemi nizaam darham barham hogaya hai. or to or baaz okaat ahtajaj k naam per seher ko ek mint me shut down kar dia jata hai jis ke bais transport amad o raft hojati hai sarkon per na maloom afraad jilao gerao shuru kardete hai me hone ghar se bahir logo me khof o hiraas or ghar wale fiker ke bais ajeeb kashma kash me mubtala hojate hai. her roz ahtajajan karobar band karwane se kai afraad ka hazaron ka nukhsan hota hai. 










Meri ap  sub logo se guzarish hai k ahtajaj k naam per apne hi logo ka nukhsan na karen.Is tarha k ahtajaj se na to pehle kabhi koi masle ka haal mila na ab mile ga balke is ahtajaj se sirf awaam ki mushkilaat me or izafa hota hai.

Saturday, 19 October 2013

******Pakistani Dresses*******

                                                      


Dress is a part of national culture.Dress is not only a mark of national identity but it is also an index of personal character.All nations or the peoples are proud of their national dress.Go to any part of the world,you will find peoples patronizing and donning their peculiar dresse.In international forums,meetings and conferences,delegates and observers turn up in their national dresses.But we Pakistanees take pride in putting on western dresses.Western dresses completely differ from the Pakistani dresses.
No doubt there are many fashion in dresses.Fusion of cultures has given variety to dresses.There are personal likes and dislikes in dress,but to be shy of putting on Pakistani dress,is sign of inferiority complex.Coming to the western style sleeveless and body fited dresses are against islamic teachings.The Holy Quran ordains the believers' women to cover their bodies properly.
As compared to western garments,Pakistani clothes are more gracefull and attractive,shalwar and kameez,trousers and kurta are easy to wear.In my opinion Pakistani dress is sign of simplicity which is unimitable virtue.I am in favour putting on Pakistani dresses.I believe in the patriotic words.
"Be Pakistani and buy Pakistani".




 

Tuesday, 15 October 2013

Ahtiyaat elaaj se behter hai



Ahtiyaat Elaaj Se Behter Hai.

Karachi ka shumaar mulk ke masroof tareen shehron me hota hai. yahan log apni manzilon per jald se jald pohanchna chahte hain. baaz okaat isi jald bazi me log tez raftar shahrahon per over head bridge hone ke bawajud pedal road cross karte hain or traffic hadsaat ka shikar bante hain.




Sabka hukumaton ne shehr me barhte huwe traffic hadsaat ke pesh-e-nazar guzishta maal -e-saal ke dohraan sheher ke 20 se zaid makamaat per  over head bridges banane ka mansuba banaya ta ke in traffic hadsaat se bacha ja sake. Is wakt sheher ke mukhtalif makamaat per 60 se ziada pedesterian bridges mojud hain magar badkismati se hamari awaam jald bazi or ujlat ka itna shikaar hai ke wo in over head bridges ko istamaal nahi karti or apni jaan ki pervah kie bagair tez traffic ko ubur karte huwe mukhtalif hadsaat ka shikar hojati hai.. 








Awaam ki ye zimedari hai ke wo is baat ko samjhen ke kuch lamhon ki der or thori si mehnat na sirf logo ki jaan bacha sakti hai balke karachi ke traffic hadsaat me bhi kami la sakti hai. Zindagi Khuda ka diya huwa anmol tohfa hai ise yun jald bazi ki nazar kar dena bohat bari himakat hai, kyun k jaan hai to jahan hai.

Sunday, 13 October 2013

Taleem Ka Asal Maqsad Sirf Degree Hasil Karna Nahi..

Education Or Just Degree??

Taleem Har Insaan Ki Bunyadi Zaroriyat Main Se Aik Hai. Taleem Ka Pehla Maqsad Insaan Ki Zehni Aur Rohani Nashunuma Karna Hota Hai. Taleem Kissi Bhi Qoum Aur Masherey Ke LiyeTarraqqi Ki Zamanat Samjhi Jati Hai. Taleem Aik Aisi Doulat Hai Jo Bantne Se Kam Nahi Hoti Balkey Barhti Hai. Magar Taleem Hasil Karne Ka Maqsad Sirf School, College Yah University Se Koi Degree Lena Nahi Hai Balkey Taleem Ka Asal Maqsad yeh Hai Ke Insaan Main Sha’or Paida Ho, Woh Achey aur Burey Main Farq Samajh Sakey aur Is Ke Sath Sath Insaan Main Tehzeeb aur Tameez Paida Karna bhi Taleem Ke Maqasid Main Shamil Hai.

Magar Aaj Ke Dor Main Taleem Ka Mayar Roz Baroz Girta Chala Jaraha Hai. Log Ab Taleem Se Ziyada Sirf Degree ke Husol Main Dilchispi Le Rahe Hain. Ab Log Taleem Hasil Karne Ke Liye Nahi Parhte, Woh Sirf Isliye Parhte Hain Ke Unhain Degree Mil Jaye To Woh Job Kar Sakain. Jiss Ke Liye Students Ki Aksariyat Aaj Kal Sirf Selective Course Parhne Par Hi Iktifa Karti Hai Ke Agar Hum Ne Yeh Yeh Waley Sawal Yad Karliye To Hum Pass Hojayain Ge. Hum Main Se Kafi Students Examz Se Aik Mahine Pehle Parhte Hain Balkey Kuch To Parhte Hi Nahi Sirf Paise Ke Zor Pe Pass Hojate Hain Yah Humare Siyasat-dano Ki Tarah Jali Degree Banwa Lete Hain Jiss Se Un Ke Pass Degree to Aajati Hai Magar Ilm Nahi Aur Isi Wajah Se Society Main Buraiyan Phelti Hain Jo Ke Mulk-o-Qoum Ko Mazeed Pisti Main Dhakeel Rahi Hain.

Humain Yeh Samajhna Hoga Ke Taleem Sirf Rozgar Hasil Karne Ka Certificate Nahi Hai, Is Ka Asal Maqsad Qoum Ke Afrad Ko Ba-Sha’or Banana hai Kyun Ke aik Ba-Shaor Admi hi Sahi Aur Ghalat Ke darmiyan Farq ko Samajhne Ke Kabil Hota Hai. Usey Apne Huqooq Ka Pata Hota Hai Aur Woh Janta Hai Ke Usey Ghalat Baat ke Khilaf Apni Awaz Uthani Hai Aur Khud Bhi Ghalat Kamo Se Bachna Hai. Magar Aaj ke Dor Main Aap Ko Aise Bohat Se Log Milain Ge Jo Well Educated Family Se belong Karte Hain Magar Us Ke Bawajod Un Ke Yahan Beti Ke Paida Hone Pe Mardon Ka Moun Ban Jata Hai, Jahan Bhari Jehez Na Diya Jaye To Shadi Tor Di Jati Hai, Jahan Buzrogon Ki Dant Yah Nasihat Sunney Ko Apni Toheen Samjha Jata Hai Aur Unhain Bojh Samajh Kar Edhi Homes Chor Diya Jata Hai, Jahan Ghalat Ko Ghalat Nahi Samjha Jata Na Hi Us Ke Khilaf Awaz Uthai Jati Hai. Aisi Kai Misalain Aur Bhi Hain Main Society Ki Un Buraiyon Ki Baat Karahi Hon Jo Ke Ab Bohat Aam Hoti Jarahi Hain. Hum Jab Koi Burai Dekhte Hain To Kehte Hain Ke Yeh To Taleem Ki Kami Ka Natija Hai, Magar Tab Kiya Kara Jaye Jab Us Burai Ke Peechey Aik Educated Shaks Ho? Meri Aik Dost Ki Mangni Shadi Se Sirf 2 Months Pehle Sirf Isliye Tor Di Gayi Kyun Ke Larkey Walon Ko Jehaz Main Aik Alag Ghar bhi Chahiye Tha Aur Meri Dost Ke Walid Itna Afford Nahi Kar Sakhte The Lehaza Larkey Walon Ne Bagair Koi Lehaz Kiye Mangni Tor Di, Halanke Larke Wale Achey Educated Log The, Khud Larka Ne MBA Kiya Hua tha Magar Us Ke Bawajod Bhi.....

Meri Nazar Main In Sub Ki Yehi Wajah Hai Ke Hum Ne Ab Taleem Ko Bas Paise Kamane Ka Zariya Samajh Liya Hai. Aur Hum Main Se Ziyada Tar Sirf DEGREE Hasil Karne hi  Taleem Hasil Karahe Hain. Taleem Ka Asal Maqsad to Hum Bhol Hi Chukey Hain. Lehaza Ab Is Baat Ki Sakht Zarorat Hai Ke Hum Taleem Ke Asal Maqsad Ko Samajhte Hue Taleem Hasil Karain Aur Sirf Dunyawi Taleem Hi Nahi Balkey Deeni Taleem Par Bhi Tawaja Dain Tab Hi Hum Aik Achey Insaan Aur Aik Achey Shehri Ban Sakain Ge. Is Silsiley Main Astadza(teachers) Bohat Ehem Kirdar Ada Kar Sakhte Hain Kyun Sirf Wohi Hain Jo Shuru Se Bachon Main Sha'or Paida Kar Sakhte Hain, Unhain Sahi aur Ghalat Ka Farq Samjha Sakhte Hain aur Un Ki Tarbiyat Is Tarah Kar Sakhte Hain Ke Woh Taleem Ke Asal Maqsad Se Roshnas Ho Kar Ache Insaan Aur Shehri Ban Sakain.