Sarapa Ahtajaaj
“Ahtajaj” ye word ap logo ke lie naya
nae hoga kyun ke aj kal khususan Pakistan ki awaam k lie ye unki zindagi ka
hisa ban chukka hai. Khabhi bijli or pani ki bandish per to khabhi kisi apne k
bichar jane per ahtajaj kia jata hai.Ahtajaj karna her kisi ka haq hai or
jamhuriat ka usul bhi hai, kyun ke awaam jab ek shaks ka intakhaab kar ke use
tamam iktadar deti hai to is baat ki tawako bhi karti hai ke unka muntakhib
kardo numainda un ke tamam masail ko hal krne ki koshish krega lekin umeeden
jab totti hain to awaam ka gusa ahtajaj ki surat me hamare samne ata hai. Aaj
Pakistani awaam ke pass na bigli hai na pani hai, parhai karne k paise nahi or
paise kamane ke lie nokriyan nahi hia aesi halat me ahtajaj karna jaiz hai. ajj
pur duniya Pakistanion ki is halat se wakif hai lekin jin ko ye masail hal
karne chahiye wo yun lagta hai jese ghandi k 3 bandaron ki manind ho. Awaam ki
ye halat unhen unhe dikhai nae deti na awaam ki chikh o pukaar unhe sunai deti
hai or jab wo na kuch sunte hai na dekhte hai to bolne ka sawal hi paida nae
hota.
Sabar karne or chup rehna Pakistani
awaam ki taqdeer ban chuka hai lekin kab tak koi barashst kr sakta hai ek na ek
din to un ke sabar ka pemana labraiz hona hai or jab ye hota hai to Pakistani
awaam sarko per tyre jala kr ya tor phor kr ke apne gum o guse ka izhar karte
hain jise aj kal hum ahtajaj kehte hain.
Ahtajaj krna koi burai nahi balke ye
ek jaiz tareeka hai ke hum ahtajaj ke zariye apni baat hukumat k logo tak pohchaye
lekin ye us wakt mumkin hai ke jab hum ahtajaj ka wo tareeka apnaye jis se
hukumat ke logo per koi asar ho or wo hamari baat sun kar hamare masail hal
karne ki koshish karen. Sarko per tyre
jalana, gariyon or motocycles ko nazar-e-atish karna, karobar band karwana,
dukano tor phor karna, rellies nikalna, ya phir bare bare bord per kuch tehreer
kar ke sarko per beth jana, police or media k bandon per pathrao karna ahtajaj
nahi, in sub ko karne se hukumat ya hukumat ke logo ko koi nukhsan nahi pohch
raha balke hum apne hi logo ko jo pehle hi itne mushkil halaat me hain uno ki
pareshaniyon me izafa karte hain. relly ke doran ghnaton traffic jam rehta hai
jis k bais log apne officces or students apni colleges ya university nahi pohch
sakte, aye din ahtajaj ke naam per university ya board ke papers ko cancle kr
dia jata hai jis ki waja se hamare mulk ka taleemi nizaam darham barham hogaya
hai. or to or baaz okaat ahtajaj k naam per seher ko ek mint me shut down kar
dia jata hai jis ke bais transport amad o raft hojati hai sarkon per na maloom
afraad jilao gerao shuru kardete hai me hone ghar se bahir logo me khof o
hiraas or ghar wale fiker ke bais ajeeb kashma kash me mubtala hojate hai. her
roz ahtajajan karobar band karwane se kai afraad ka hazaron ka nukhsan hota
hai.
Meri ap sub logo se guzarish hai k ahtajaj k naam per
apne hi logo ka nukhsan na karen.Is tarha k ahtajaj se na to pehle kabhi koi
masle ka haal mila na ab mile ga balke is ahtajaj se sirf awaam ki mushkilaat me or
izafa hota hai.
right...
ReplyDelete