Wednesday, 30 October 2013

Afsos kis per karun????

Afsos Kis Per Karun????



Ye aaj subha ki baat hai jab me or meri dost Aisha mamul ke mutabik bus me university jarahe the, raste me signal per jab hamari bus ruki to barabar me ek school ke bachon se bhari van bhi a khari hui wo bache ek hi uniform me apni tafrihon me masruf the, lekin jab hum ne dekha to wo bache apas me batain to kar rahe the lekin zaban or awaaz se nahi balke wo isharon ki madad se ek dusre ko apni baat samjhane ki koshish kar rahe the. wo van aese bachon ki van thi jis me deaf (behre) or dumb (gunge) bache mojud the. jab hum inhen dekh rahe the to meri dost Aisha ne kaha ke mujhey in ke lie bohat afsos hota hai ke inhe is tarha zindagi guzarni parti hain. Afsos mujhey bhi bohat huwa lekin in bachon per nahi balke apni zaat per ke humen ALLAH ne har nemat se nawaza hai. lekin phir bhi hum us ka shukar ada karne ke bajaye sirf rote rehte hain ke humen ye asaish nahi mili, hamari ye khuahish puri nahi hui, humen zindagi me milne wali is khushi se mehrum rakha hai, agr hume bhi ye mil jata, or bohat kuch. lekin us zaat ne humen jin chizon se nawaza hai us ki qadar nahi krte.
Hum har wakt ye shikayat karte rehte hain ke hamari zindagi me sukun nahi, rahat nahi hai uski ek bunyadi waja ye hai ke hum apni zindagi se mutmaeen nahi hai. Lekin isi afra tafri ki zindagi me jis sukun ki mujhey talash thi wo mujhey aaj in bachon ko dekh kar mayasar hogaya ke kia hojata agr me in bachon me se hoti? lekin aesa nahi huwa Allah ne mujhey ek mukamal zindagi di hai or isi ek ahsas ne mujey apni zindagi se mutmaeen kardia. 
Meri ap sub se bhi yehi guzarish hai ke nashukri kar ke apni zindagi ko azaab me dalne se behter hai un logo ki taraf dekhen jinhen zindagi ki bunyadi chizon se bhi mehrum hain. or apni zindagi se mutameen ho kar ek khushaal zindagi guzaren.  

No comments:

Post a Comment