Thursday, 31 October 2013

Parvarish



Hamari muashrati zindagi mai kafi tabdiliya aa chuki hain,balky tabdeli ka amal musalsal jaari hay.wo cheze jo kch saal pehly mayoob samjhi jati the,ab inhy qubool kar liya gaya hy.hamary toor tareqy mazhabi hony ky bawajud aam ho chuky hain.Muaashi zarorato ko pora krny k liye maae(mothers) nokri karti hain,aur bachy din ky kaee ghanty walden say door rehty hain.In halaat mai bacho ki parvarish waldain ky liye bohut bara challenge ban chuki hay.

Waldain ko chahye bacho ki jismani,samaji,zehni aur jazbati nasho numa ka khayal rakhen.Jismani nasho numa k liye achi ghiza faraham karna,achi zehni nasho numa k liye pur aman mahool faraham karna aur jazbati nasho numa k liye aisa muhabbat amez mahool faraham karna chahye jaha bachy ko ye ehsas ho ky us say muhabbat ki jarahi hay,jaha insaaf ho,aik dosry ki ezat ki jae,khoof or dhamkiya na ho.

Waldain ko chahye ky bacho ky sath friendly rahen taky bachy har baat share karen.bacho ko har achy kaam par sarahe or kuch ghalat karen to unhe saza bhi den taky unhy apni ghalti ka ehsas ho.Waldain ki muhabbat bachy ky andar aitmad paida karti hy,bacho ko ghehrae mai jakar samajhny ki koshish karen ky wo kia karna chahty hain.Inky khuwab kia hain.

Bachy ALLAH pak ka diya howa khubsurat tohfa hain.Inki parvarish waldain pr farz hy lekin hr bacha alag adat or mizaj ka malik hota hay.bachy ki shakhsiat kesi bhi ho,sabsy aham chez muhabbat hay,is hi muhabbat ki waja say bacha har mushkil waqt ka samna kar pata hy or sath hi kamyab or muashry ka aham rukun ban kar zindagi ko khushgawar tareqy say guzar pata hy.

No comments:

Post a Comment