Sunday 13 October 2013

Taleem Ka Asal Maqsad Sirf Degree Hasil Karna Nahi..

Education Or Just Degree??

Taleem Har Insaan Ki Bunyadi Zaroriyat Main Se Aik Hai. Taleem Ka Pehla Maqsad Insaan Ki Zehni Aur Rohani Nashunuma Karna Hota Hai. Taleem Kissi Bhi Qoum Aur Masherey Ke LiyeTarraqqi Ki Zamanat Samjhi Jati Hai. Taleem Aik Aisi Doulat Hai Jo Bantne Se Kam Nahi Hoti Balkey Barhti Hai. Magar Taleem Hasil Karne Ka Maqsad Sirf School, College Yah University Se Koi Degree Lena Nahi Hai Balkey Taleem Ka Asal Maqsad yeh Hai Ke Insaan Main Sha’or Paida Ho, Woh Achey aur Burey Main Farq Samajh Sakey aur Is Ke Sath Sath Insaan Main Tehzeeb aur Tameez Paida Karna bhi Taleem Ke Maqasid Main Shamil Hai.

Magar Aaj Ke Dor Main Taleem Ka Mayar Roz Baroz Girta Chala Jaraha Hai. Log Ab Taleem Se Ziyada Sirf Degree ke Husol Main Dilchispi Le Rahe Hain. Ab Log Taleem Hasil Karne Ke Liye Nahi Parhte, Woh Sirf Isliye Parhte Hain Ke Unhain Degree Mil Jaye To Woh Job Kar Sakain. Jiss Ke Liye Students Ki Aksariyat Aaj Kal Sirf Selective Course Parhne Par Hi Iktifa Karti Hai Ke Agar Hum Ne Yeh Yeh Waley Sawal Yad Karliye To Hum Pass Hojayain Ge. Hum Main Se Kafi Students Examz Se Aik Mahine Pehle Parhte Hain Balkey Kuch To Parhte Hi Nahi Sirf Paise Ke Zor Pe Pass Hojate Hain Yah Humare Siyasat-dano Ki Tarah Jali Degree Banwa Lete Hain Jiss Se Un Ke Pass Degree to Aajati Hai Magar Ilm Nahi Aur Isi Wajah Se Society Main Buraiyan Phelti Hain Jo Ke Mulk-o-Qoum Ko Mazeed Pisti Main Dhakeel Rahi Hain.

Humain Yeh Samajhna Hoga Ke Taleem Sirf Rozgar Hasil Karne Ka Certificate Nahi Hai, Is Ka Asal Maqsad Qoum Ke Afrad Ko Ba-Sha’or Banana hai Kyun Ke aik Ba-Shaor Admi hi Sahi Aur Ghalat Ke darmiyan Farq ko Samajhne Ke Kabil Hota Hai. Usey Apne Huqooq Ka Pata Hota Hai Aur Woh Janta Hai Ke Usey Ghalat Baat ke Khilaf Apni Awaz Uthani Hai Aur Khud Bhi Ghalat Kamo Se Bachna Hai. Magar Aaj ke Dor Main Aap Ko Aise Bohat Se Log Milain Ge Jo Well Educated Family Se belong Karte Hain Magar Us Ke Bawajod Un Ke Yahan Beti Ke Paida Hone Pe Mardon Ka Moun Ban Jata Hai, Jahan Bhari Jehez Na Diya Jaye To Shadi Tor Di Jati Hai, Jahan Buzrogon Ki Dant Yah Nasihat Sunney Ko Apni Toheen Samjha Jata Hai Aur Unhain Bojh Samajh Kar Edhi Homes Chor Diya Jata Hai, Jahan Ghalat Ko Ghalat Nahi Samjha Jata Na Hi Us Ke Khilaf Awaz Uthai Jati Hai. Aisi Kai Misalain Aur Bhi Hain Main Society Ki Un Buraiyon Ki Baat Karahi Hon Jo Ke Ab Bohat Aam Hoti Jarahi Hain. Hum Jab Koi Burai Dekhte Hain To Kehte Hain Ke Yeh To Taleem Ki Kami Ka Natija Hai, Magar Tab Kiya Kara Jaye Jab Us Burai Ke Peechey Aik Educated Shaks Ho? Meri Aik Dost Ki Mangni Shadi Se Sirf 2 Months Pehle Sirf Isliye Tor Di Gayi Kyun Ke Larkey Walon Ko Jehaz Main Aik Alag Ghar bhi Chahiye Tha Aur Meri Dost Ke Walid Itna Afford Nahi Kar Sakhte The Lehaza Larkey Walon Ne Bagair Koi Lehaz Kiye Mangni Tor Di, Halanke Larke Wale Achey Educated Log The, Khud Larka Ne MBA Kiya Hua tha Magar Us Ke Bawajod Bhi.....

Meri Nazar Main In Sub Ki Yehi Wajah Hai Ke Hum Ne Ab Taleem Ko Bas Paise Kamane Ka Zariya Samajh Liya Hai. Aur Hum Main Se Ziyada Tar Sirf DEGREE Hasil Karne hi  Taleem Hasil Karahe Hain. Taleem Ka Asal Maqsad to Hum Bhol Hi Chukey Hain. Lehaza Ab Is Baat Ki Sakht Zarorat Hai Ke Hum Taleem Ke Asal Maqsad Ko Samajhte Hue Taleem Hasil Karain Aur Sirf Dunyawi Taleem Hi Nahi Balkey Deeni Taleem Par Bhi Tawaja Dain Tab Hi Hum Aik Achey Insaan Aur Aik Achey Shehri Ban Sakain Ge. Is Silsiley Main Astadza(teachers) Bohat Ehem Kirdar Ada Kar Sakhte Hain Kyun Sirf Wohi Hain Jo Shuru Se Bachon Main Sha'or Paida Kar Sakhte Hain, Unhain Sahi aur Ghalat Ka Farq Samjha Sakhte Hain aur Un Ki Tarbiyat Is Tarah Kar Sakhte Hain Ke Woh Taleem Ke Asal Maqsad Se Roshnas Ho Kar Ache Insaan Aur Shehri Ban Sakain.

10 comments: