Tuesday, 15 October 2013

Ahtiyaat elaaj se behter hai



Ahtiyaat Elaaj Se Behter Hai.

Karachi ka shumaar mulk ke masroof tareen shehron me hota hai. yahan log apni manzilon per jald se jald pohanchna chahte hain. baaz okaat isi jald bazi me log tez raftar shahrahon per over head bridge hone ke bawajud pedal road cross karte hain or traffic hadsaat ka shikar bante hain.




Sabka hukumaton ne shehr me barhte huwe traffic hadsaat ke pesh-e-nazar guzishta maal -e-saal ke dohraan sheher ke 20 se zaid makamaat per  over head bridges banane ka mansuba banaya ta ke in traffic hadsaat se bacha ja sake. Is wakt sheher ke mukhtalif makamaat per 60 se ziada pedesterian bridges mojud hain magar badkismati se hamari awaam jald bazi or ujlat ka itna shikaar hai ke wo in over head bridges ko istamaal nahi karti or apni jaan ki pervah kie bagair tez traffic ko ubur karte huwe mukhtalif hadsaat ka shikar hojati hai.. 








Awaam ki ye zimedari hai ke wo is baat ko samjhen ke kuch lamhon ki der or thori si mehnat na sirf logo ki jaan bacha sakti hai balke karachi ke traffic hadsaat me bhi kami la sakti hai. Zindagi Khuda ka diya huwa anmol tohfa hai ise yun jald bazi ki nazar kar dena bohat bari himakat hai, kyun k jaan hai to jahan hai.

No comments:

Post a Comment