Zimaidar Kon???
Pakistan us sarzamin ka naam hai jis ne hamay aazaadi ke saath
saath ek nai or masbat pehchan di. Is mulk ka qayam logo ke khuloos or
qurbaniyon se mumkin hua. Lekin afsos ke aaj is masbat shanakht ko nuqsan pohnchayaa
jaa raha hai. Aaj puri duniya me Pakistan ko badnaam kia jaraha hai, kahin
dehshatgardi ke naam per to kahin be-imani or corruption ke naam per. Ye baat
kisi had tak theek bhi hai, kyun ke aaj hamare mulk ki jo halat hai is baat se
inkaar nahi kia jasakta ke jis maqsad ke tehat issay hasil kia gaya tha wo aaj
hamay kahin nazar nahi aata. Pakistan ko azaad huwe 66 saal ho chuke hain, is
ki halat bad se badtar hoti jarahi hai or hum is ka zimaidar hamare mulk k
hukmurano ko samajhte hain, hum jab bhi Pakistan ki baat krte hain to yehi
sochte hain ke shayad hamare mulk me agar marshal law nai laga hota ya jamhuri
hukumat apni zimaidariyan puri krteen to
hamara mulk us maqam tak na pohchta jahan wo aaj hai.
Hamare
mulk ka har nizaam kharab, har mehekma corrupt hai, lekin kia hamare zawal or
badhali ka sabab sirf hamare hukmuran hai? kia hamara is me koi kasoor nai? Agar
is surat-e-haal ka haqiqat pasandi se jaiza lia jaye to taswir ka dusra rukh
hamare saamne ayaa hoga. Kon hai jo imtahan me nakal krta hai? Kon hai jo
signal torne per traffic police ko rishwat dene ki koshish krta hai? Kon hai jo
na-ahel hone k bawajud rishwat day ker nokriyon per qabza karta hai? Kon hai jo
apni zaruraton ko pura krnay ke liye chori ka rasta ikhtiyar karta hai? Kon hai
jo mehnat karne ke bajaye logo ko taawaan k liye agwaa karta hai or baaz aukaat
un ki jaan lenay se bhi nahi ghabrata? Kon hai jo qaanoon ki girift se bachne k
liye apne asr-o-rusookh ka istamal krta hai? Kon hai jo adaalaton se insaaf
lenay ke bajaaye mujrimo se paise le kr bik jata hai? Kon hai jo is mulk ko chor kar bhaag jaana chahta hai? Or sub se
barh kar kon hai jo is mulk ki ye halat dekhnay ke baawajud khamosh hai? Kon
hai jis ko sirf apne araam-o-sukoon se garz hai? Wo hamaare hukmaraan nahi
balke hum khud hai. Bayhis or khudgarz….
Hamare
muashray se insaaniyat, ek dusre ka ehsaas or apnay mulk ki mohabbat khatam ho
chuki hai. Aaj hamara mulk jis halat me hai us k zimaidar hum hi hain. Hum apni
galtiyon ko dekhne k bajaye dusro per ilzaam lagane ke aadi ho chuke hain lekin
ankhain band kar lene se sachaayi chup nahi jati balke barbadi qoum ka muqadar
zarur ban jati hai.
Yehi
sahi wakt hai agar hum is mulk ki halat me tabdili lana chahte hai, to shuruaat
apnay aap se karni hogi. Is mulk ka mustakbil hum se hai jese hum honge, wesa
hi hamara mulk hoga, kyun ke logon se hi mulk bana karte hain.
Agar
ab bhi hum log ahsas-e-zamaidari ke bajaaye ilzam tarashi me masroof rahe to is
mulk ki takdeer koi nahi badal sakta….