Wednesday 25 September 2013

Chand Lamhon Ka Zalzala...


24 Sept, Tuesday Ka Din Tha, Main University se Akar 4:30 Baje Ke Kareeb Khane Ke Liye Rotiyan Hi Bana Rahi Thi Ke Achanak Mujhe Cooking Range Hilta Hua Mehsos Hua, Mujhe Laga Shayad Mera Weham Hai Magar Phir Jab Ammi Ne Akar Kaha Ke Zalzala Aya Hai To Mera Weham Yaqeen Main Badal Gaya. Tasdeek Ke Liye Foran Tv Khola To Har Jaga Yehi News Thi Ke Sindh, Baluchistan aur Bharat Ke Dar-ul-Hukumat New Dehli  Main Zalzaley Ke Jhatkey Mehsos Kiye Gaye hain Jiss ki Shiddat Rector Scale Pe 7.7 Record Ki Gayi Hai Aur Markaz Baluchistan Ka Shehar Khuzdar Tha. Jab ke Karachi Main ALLAH Ka Shukar Hai Zalzaley Ki Shiddat 3.7 Thi Jo Ke Kafi Kam  Thi. Us Ke Bawajod Bhi Logon Main Khos o Haras Phel Gaya Aur Log Apne Apne Gharon Se Bahir Nikal Aye. Lekin ALLAH Ke Karam Se Sindh Main Kissi Bhi Kisam Ke Nuqsan Ki Itela Nahi Mili. Magar Kyun Ke Markaz Baluchistan Tha Isliye Baluchistan Main Zalzaley Se Barey Pemaney Par Tabahi Hui. Takreeban 21,000 Makanat Ko Nuqsanat Pohcha, Ibtida Main To Jan Bahaq Hone Walon Ki Tadad Kam Thi Magar Ab Tak ki Itelat ke Mutabik Jan Bahq Afrad Ki Tadad 400 Se Ziyada Ho Chuki Hai. Maqanat Ka Malba Girne Se Jahan Mawasalat Ka Nizam Buri Tarah Mutasir Hua Wahin Imdadi Karwaiyon Main Bhi Sakht Mushkilat Ho Rahi Hain. 

Collapsed mud house in Baluchistan

In Halakaton Pe Har Pakistani Gamzada Hai Lekin Zahir hai Hum Un Logon Ka Dard Nahi Samajh Sakhte. Who Jo Apne Gharon se Aik Dam Be Ghar Hogaye Hain, Achanak Apne Pyaron Ko Kho Chukey hain Un Pe Jo Guzar Rahi Hogi Us Ka Hum Sirf Afsos Hi Kar Sakhte Hain Magar Is Takleef Ka Andaza Wohi Jan Sakhte Hain Jin Par Yeh Takleef Beeti Rahi Ho. Hum To Yahan 2 Yah 4 Din Afsos Karain Ge Phir Apni Apni Zindagiyon Main Magan Hojayain Ge. Magar Un Ke Liye To Yeh Sari Zindagi Ki Takleef Hai. Sari Zindagi Ka Dukh Hai.


A family of Pakistani earthquake survivorss sit with their belongings near their collapsed mud house

Is Zalzaley Se Jahan Itni Tabahi Hui Wahin Hairat Angez Tor par Is Ki Shiddat Se Gawadar Ke Samandar Main Aik Jazeera Obhar Aya Jo Ke Sahil-e-Samandar Se 70 Fit Oncha hai Aur Jisey Zalzala Jazeera Ka Naam Diya Gaya. Is Jazeere Se methane Gas Ka Akhraj Ho Raha Hai Jiss Ke Wajah Se Jazeere Main Bulbuley Oth Rahe Hain. Yehi Nahi Balkey 2 Din Bad Isi Qisam Ka Aik Aur Jazeera Ormara Ke Sahil-e-Samandar pe Bhi Paya Gaya.


This image shows what appears to be a new island off the coast of Pakistan after the Sept. 24, 2013 earthquake struck the country.



Aerial photo of the Gwadar mud volcano (National Institute of Oceanography, Pakistan)

Pakistan Ke Bohat se Zalzaley Indian, Arabian, Aur Eurasian tectonic plates Ke Darmiyan Collision Ka Nitija Hain. Yeh Aik Haqeeqat Hai Ke In Zalzala Ko Predict Karne Yah Rokne Ke Liye Science Ab Tak Kuch Bhi Ejad Nahi Kar Saki Hai. Is Chand Lamhon Ke Zalzaley Ne Jahan Kai Janain Li Wahin Humain Is Baat Ka Ehsaas bhi Dilaya Ke Allah Ke Agey yeh Science Wagera Kuch Bhi Nahi Hai. Allah Jab Chahey Aik Pal Main Humain Apne Pass Bula Sakhta Hai. Agar Hum Thora Sa gour Karain To Humain Andaza Hoga Ke Allah Taala Ne Humain Dikhaya Ke Aaj Science Ki Itni Taraqqi Ke Bawajod Bhi Na Insaan Zalzaley Ko Rok Saka Hai Aur Na Hi Predict Kar Saka Hai. Zalzala Aya Aur Kai Logon Ko Apne Sath Le Gaya Aur Insaan Kuch Nahi Kar Saka. Yeh Sabit Hogaya Ke Science Ki Itni Taraqqi Ke Bawajod Bhi Insaan Qadrat Ke Samne Be Bas Hai Aur Be Bas hi Rahe Ga.

Meri ALLAH Se Dua Hai Ke Allah Zalzaley Main Marne Walon Ki Maghfrit Karey Aur Un Ke Aziz o Aqarib jo Ab Akele reh Gaye Hain Un Ko Sabar Aur Himmat Ata Karey Aur Hum Logon Ko Bhi Islam Par Sahi Tareqqe Se Amal Karne Ki Hidayat Naseeb Karey. Ameen

6 comments: