Saturday 28 September 2013

Zimaidar Kon???



Zimaidar Kon???

Pakistan us sarzamin ka naam hai jis ne hamay aazaadi ke saath saath ek nai or masbat pehchan di. Is mulk ka qayam logo ke khuloos or qurbaniyon se mumkin hua. Lekin afsos ke aaj is masbat shanakht ko nuqsan pohnchayaa jaa raha hai. Aaj puri duniya me Pakistan ko badnaam kia jaraha hai, kahin dehshatgardi ke naam per to kahin be-imani or corruption ke naam per. Ye baat kisi had tak theek bhi hai, kyun ke aaj hamare mulk ki jo halat hai is baat se inkaar nahi kia jasakta ke jis maqsad ke tehat issay hasil kia gaya tha wo aaj hamay kahin nazar nahi aata. Pakistan ko azaad huwe 66 saal ho chuke hain, is ki halat bad se badtar hoti jarahi hai or hum is ka zimaidar hamare mulk k hukmurano ko samajhte hain, hum jab bhi Pakistan ki baat krte hain to yehi sochte hain ke shayad hamare mulk me agar marshal law nai laga hota ya jamhuri hukumat apni zimaidariyan puri  krteen to hamara mulk us maqam tak na pohchta jahan wo aaj hai.
Hamare mulk ka har nizaam kharab, har mehekma corrupt hai, lekin kia hamare zawal or badhali ka sabab sirf hamare hukmuran hai? kia hamara is me koi kasoor nai? Agar is surat-e-haal ka haqiqat pasandi se jaiza lia jaye to taswir ka dusra rukh hamare saamne ayaa hoga. Kon hai jo imtahan me nakal krta hai? Kon hai jo signal torne per traffic police ko rishwat dene ki koshish krta hai? Kon hai jo na-ahel hone k bawajud rishwat day ker nokriyon per qabza karta hai? Kon hai jo apni zaruraton ko pura krnay ke liye chori ka rasta ikhtiyar karta hai? Kon hai jo mehnat karne ke bajaye logo ko taawaan k liye agwaa karta hai or baaz aukaat un ki jaan lenay se bhi nahi ghabrata? Kon hai jo qaanoon ki girift se bachne k liye apne asr-o-rusookh ka istamal krta hai? Kon hai jo adaalaton se insaaf lenay ke bajaaye mujrimo se paise le kr bik jata hai? Kon hai jo is mulk ko  chor kar bhaag jaana chahta hai? Or sub se barh kar kon hai jo is mulk ki ye halat dekhnay ke baawajud khamosh hai? Kon hai jis ko sirf apne araam-o-sukoon se garz hai? Wo hamaare hukmaraan nahi balke hum khud hai. Bayhis or khudgarz….
Hamare muashray se insaaniyat, ek dusre ka ehsaas or apnay mulk ki mohabbat khatam ho chuki hai. Aaj hamara mulk jis halat me hai us k zimaidar hum hi hain. Hum apni galtiyon ko dekhne k bajaye dusro per ilzaam lagane ke aadi ho chuke hain lekin ankhain band kar lene se sachaayi chup nahi jati balke barbadi qoum ka muqadar zarur ban jati hai.
Yehi sahi wakt hai agar hum is mulk ki halat me tabdili lana chahte hai, to shuruaat apnay aap se karni hogi. Is mulk ka mustakbil hum se hai jese hum honge, wesa hi hamara mulk hoga, kyun ke logon se hi mulk bana karte hain.
Agar ab bhi hum log ahsas-e-zamaidari ke bajaaye ilzam tarashi me masroof rahe to is mulk ki takdeer koi nahi badal sakta….

3 comments: