Monday 23 September 2013

"BIJLI KA BUHRAN"


Pakistan main bijli ki pedawar buhat kam hai. Aur is ki waja se bijli ka aana jana,bijli ki bandish,black out wagera rozana ka mamool ban gaya hai.Chahe sardi ho ya garmi bijli ki bandish lazmi hai. Baaz dafa mamool ke mutabiq or baaz dafa bagair batae poora din bijli gayab rehti hai.Aur kai baar ka aana jana in logon ke liye bohat c masail paida karta hai jin ka kam bijli se hi hota hai.
Bijli ka na hona bohat bara buhran hai jis ki wja c tamaam logo ko bohat c mushkilat ka saamna karna parta hai chahe wo kic bhi shobe c taluq rakhte hon jec k..talib-e-ilm,mareez,tajir,san'at kar, kissan,mazdoor,kareegar,gharelo aurte wagera.Jis ki waja c hmari muashi,san'ati or zary'e taraqi nahi ho parhi.Bijli k bar bar aane jaane ki waja c  aisi roz mar'ra ki bohat c cheze jo k bijli c chalti hain nakaara hojati hain jec k refrigerator,VCR, television or computer wagera.

Aise bohat se awaamil  hain jo bijli ki pedawar main rukawat ka ba'is bante hain.Jaise ke nehron ki kami,abadi ka barhna,gaon main bijli ki frahmi, hmare mulk main DAMS ki kami wagera.Jab k bijli ki bandish main corruption yani be'emani,gair zimadari,WAPDA walo ki naqis kar kardagi,KAALA BAGH DAM k mansoobe ka poora na hona,zara'ye ka naja'is istimal or hmari hukumat ka dilchaspi na lena shaamil hai.


Pakistan bijli k buhran ki waja c kbhi taraqqi nahi karskta is lye hukumat ko chahye k bijli k buhran ko khatam krne ki har mumkin koshsh ki jaye. Sub c phle to WAPDA ki be'emani,gair zimadari or naqis kar kardagi ko thek karna chahye. Bagair takheer k naye bare DAMS  bnane chahye. Shamsi or atomi tawanai k zarye bijli paida ki jaye. Bijli ki chori ko rokne k ly iqdaam kye jaye or dusri taraf logo ko bhi bijli k istimal main ahtiat karni chahye.Is main koi shak nahi k in iqdamaat ki waja c mulk main bijli k buhran ka khatma hoskta hai.


4 comments: