Wednesday 18 September 2013

Karachi Ki Barish..

Kehte Hain Barish Khuda Ki Rehmat Hoti Hai, Be Shak Sahi Kehte Hain Magar Karachi Main Hukumati Idaron Ki Be-Hisi Ki Wajah se Yeh Rehmat Karachi Walon Ke Liye Aksar Zehmat Ka Ba'is Ban Jati Hai. Aisi Hi Zehmat Ka Shikar Karachi Ki Awaam 3rd Aug. 2013 Ki Dupehar Hui Jab Karachi Main is Qadar Taiz Barish Hui Jiss Ne Karachi Main Tabahi Macha di.

3rd Aug. Ki Subha Se Hi Asmaan Main Kaley Badal Chahye Hue The. Khush-Gawar Mousam Ko Dekh Kar Lag Raha Tha Kuch Dair Main Hi Barish Shuru Hojaye Gi. Karachi Main Kyun Ke Bohat Kam Barish Hoti Hai Isliye Sub Log Hi Excited the. Phir Kuch Hi Dair Main Barish Shuru Hogai. Pehle Pehle To Sub Hi Enjoy Karahe The Magar Jaise Jaise Barish Musalsal Taiz Hoti Gayi Wesey Hi Galiyon Aur Sarkon Par Kai Kai Fit Pani Jama Hone Laga. Barish Ne Is Qadar Taizi Iktiyar Ki Ke Sailaab Ki Shakal Le Li Jiss Se Kai Kachey Maqanat Gir Gaye, Takreeban 20 Afrad Lukma-e-Ajal Ban gaye, Naqasi e Aab Na Hone Ki Wajah Se Shehar Ke Ahem Shahrahon Par Pani Jama Hone Ke Ba'is Shadeed Traffic Jam Hogaya, Kai Logon Ki Gariyan/Bikes Pani Main Kharab Hogayain. Log Rozey Main Sarkon Pe Kai Ghantey Madad Ke Liye Kharey Rahe. Akhir Civil Intezamiya Ki Darkhast Par Rangers Ke Jawan Imdadi Qarwaiyon Main Hissa lene Pohanchey aur Barish Main Phansey Logon Ko Nikal Kar Mehfoz Muqamat Par Pohchaya.


Pic Taken By Nisha Salahuddin



Pic Taken By Nisha Salahuddin


Pic Taken By Nisha Salahuddin
Dosri Taraf Humesha ki Tarah KESC ke 400 Feeders Bhi Trip Kar Gaye Jiss Ki Wajah Se Shehar Ka Aik Bara Hissa Tareekhi Main Doob Gaya. Jiss Ko Theek Hone Main Bhi 2 Se 3 Din Lagey. Humare Area Main Bhi Shadeed Ahtejaj Karne Par 2 Din Bad Light Ayi. Aur 2 Din Jiss Tarah Hum Ne Guzarey Woh Hum Hi Jante Hain.

Sawal Yeh hai Ke Jab Pehle Se Barish Ki Peshangoi Ho Chuki Thi To Sindh Hukumat, Baldiya Uzma, Zilaa Municipal Corporation Aur Deegar Idarey Akhir Kiya Karahe The? Pehle Se tamam Intezamat Kyun Nahi Rakhey gaye? Aik Lah-e-Amal Kyun Nahi Banaya gaya?Agar Pehle Se Barish Ke Intezamat Ka Khayal Rakha Jata, Naqasi-e-Aab ke Nizaam Ko Sahi Rakha Jata To Mumkin Tha Itna Nuqsaan Nahi Hota Jitna Ke Is Barish Main Hua.

7 comments:

  1. hmm or agr isi tarah hmari hokomat soti rahi tou agay anay wali monson ki barishon mai b yei hshar hoga khi ka.

    ReplyDelete
  2. Nice Write-up Nisha :)
    Well done

    ReplyDelete
  3. ๐Ÿ˜ฎ‍๐Ÿ’จ๐Ÿ™Œ๐Ÿป

    ReplyDelete
  4. Mazedaar๐Ÿ˜‚๐Ÿ˜ฎ‍๐Ÿ’จ๐Ÿ™Œ๐Ÿป๐Ÿซ 

    ReplyDelete