Friday 20 September 2013

Kamzor Qanoon

Kamzor Qanoon

Kawaneen kisi bhi mulk ki behtri or is k shehri k faide k lie banaye jate hain. Is ki pasdari krna hr shehri per farz hai or is ki khilaf warzi krne per wo sakht saza k mustahiq hote hain.

Hamare mulk me bhi sheriyon ki falah o behbud k lie qawanin banaye gaye hain. lekin hamari badkismati se hamari awam qanoon per amal krne k bajaye in ki khilaf warzi ko apna farz samajhti hai.pakistan me jahan digr kisi qanoon ki pasdari nahi hoti, wahin traffic k qawanin per bhi koi amal krne ko tayar nahi. Hr shakhs is qadr mafad parst ho chuka hai k kisi qanoon ko torne se bhi gurez nahi krta or wo aesa kyun na karen jb qanoon per amal krne se nukhsan or qanoon ko torne se faida hasil ho raha ho.

Aap soch rahe honge k qanoon ki pasdari per nukhsan or qanoon ki khilaf warzi  per faida kis tarha mumkin hai to me yahan un bus drivers or conductors ki baat kr rahi hu jo mehez ziada se ziada kiraya lene k lie logo ko buson ki chaton per bhitha kr logo ki jano per se khelne se bhi nahi ghabrate.Is chiz k khilaf qanoon hone k bawajud aj kal specially Karachi me buson ki ek ajeeb shakal nazar ati hai jahan bus k ander se ziada bus k bahir se awam latakti hui nazar ati hai.

            

Awam to CNG ki loadshedding or is k natije me bason ki tadad kam hone k bais ye qadam uthati hai lekin ye zimedari bus drivers or conductors ki hai k wo is qanon ki khilaf warzi na karen lekin ye us wakt mumkin hai k jb is qanoon ki khilaf warzi krne per un ko saza ya chalan se un ko koi nukhsan ho.

Traffic polilce humen takriban hr ilake me khare nazar to ate hain lekin wo apna emaan is qada bech chuke hain k is qanoon ki khilaf warzi krne per bus drivers k khilaf chalan katne k bajaye mehez 20 ya 50 rupe apni jaib me dal kr logo ko martga huwa chor dete hain. kisi ek ki beimani ka ilzam pure traffic k mehekme ko dena durust nahi, shehr me kai aese traffic police k afsaraan bhi mojud hain jo un k khilaf chalan katte hain lekin afsos k wo chalan bhi mehez 200 ya 250 rupe se ziada nahi hota jis ko bus drivers ek bar ada kr k in 250 k chalan ko pure din istamal kr k ye rakam doguni balke is se shayad char guni rakam kiraya wasul kr k kama lete hain. Agr ye kaha jaye k qanoon ki khilaf warzi kr k un ko faida hota hai to ye galat na hoga.

Is masle ka hal sirf ye hai k hukumat is qanoon ki kkhilaf warzi k khilaf sakht saza ka elan karen ya kam se kam us chalan me izafa kr den ta k bus drivers ko Qanoon i khilaf warzi krne per nukhsan ho. or saath hi CNG ki loadshedding me kami or bason ki tadad me izafa kia jaye ta k awam ko apni manzilon per pohchne k lie apni jano per khelna na paray. 


4 comments: