Thursday, 3 October 2013

Kiya Urdu Zaban Apni Ahmiyat Khoti Jarahi Hai?


Qoumi Zaban Kissi Bhi Mulk Ki Tehzibi, Sakafti, Masharati Aur Samaji Iqdar ki Akaasi Karti Hai Aur Apas Main Iblagh Ka Behtareen Zariya Hoti Hai. Zaban Kissi Bhi Qoum Main Rabtey aur Yuk-jaheti Ki Alamat Samjhi Jati Hai. Humari Qoumi Zaban Urdu Hai Jo Ke Aik Lashkari Zaban Hai Jiss Main Mukhtalif Zabanon Ke Alfaaz Bhi Paye Jatey Hain. Wesey To Pakistan Main Bohat si Zabanain Boli Jati Hain Jin Main Sindhi, Punjabi, Baluchi, Pashto Aur Siraiki Qabil-e-Zikr Hain Magar Qoumi Zaban Ki Hesiyat Se Urdu Ko Imtiyazi Hesiyat Hasil Hai Jo Ke Humare Mulk Main Rabtey Ka Zariya Bhi Hai. 

Har Mulk Ki Zuban Us Ki Shanakht Hoti Hai Isi Tarah Urdu Bhi Humari Shanakht Hai aur Humari Sakafat Ka Hissa Hai. Magar Bad Qismati Se Kafi Arsey Se Urdu Zaban Zawal Pazeeri Ka Shikar Hogai Hai Jiss Ki Wajah Yeh Hai Ke Ab Hum Angrezi Zaban Yani English Ko Urdu Par Tarjeeh Dene Lagey Hain. Wo Zaban Jiss Ki Taraqqi Ke Liye "Sir Syed Ahmed Khan" Ne Mehnat Ki, Jiss Main “Insha” ki Nazmoon Ki Mithaas hai, "Ghalib" Aur "Faiz" Ki Ghazlon Ka Taranum Hai Us Ki Ahmiyat Ko Ab Bhulaya Jaraha Hai. 

Aaj Ki Noujawan Nasal Urdu Na Bolne Par Yah Na Aney Par Fakhar Mehsos Karti Hai Aur English Bolne Ko Hi Kamiyabi Aur Taleem Yafta Hone Ka Raaz Samajhte Hue Kehti Hai “Uff Humain To Urdu Nahi Aati Ziyada, Hum To English Bolne Aur Likhne Main hi Comfortable Feel Karte Hain” Jab Ke Yeh Baat Ba’is-e-Sharam Hai Ke Apni Qoumi Zaban Hi Na aati Ho. Is Ke Alawa Urdu Main Angrezi Alfaaz Ki Milawat Karna To Jaise Fashion Ban Gaya Hai Chahey Woh Ghalat Alfaaz Hi Kyun Na Bol Rahe Hon. Humari Ziyada Tar Nai Nasal Jo Urdu Bolti Hai Usey Hum Na Urdu Keh Sakhte Hain aur Na Hi Angrezi. Woh Bas Urdu Aur Angrezi Ka Mixture Hoti Hai. Wesey Is Ki Aik Wajah Humara Nizam Bhi Hai Jahan Angrezi Par Ubor(Control) hi Ko Ahliyat Aur Qabliyat ka Mayar Samjha Jata Hai, Dafatar aur Taleemi Idaron Main Bhi Sirf Angrezi Zaban Ko Hi Raij Kiya Jata Hai Aur Angrezi Sikhane Aur Bolne Par Tawaja Di Jati Hai Jiss Ki Wajah Se Urdu Zawal Pazeeri Ka Shikar Hoti Jarahi Hai Aur Isey Woh Muqam Hasil Nahi Ho Saka Jiss Ki Woh Mustehaq Hai.

Kehte Hain Agar Kissi Qoum Ko Tabah Karna Ho to Us Ki Zaban Ko Tabah Kardo, Woh Qoum Khud Hi Tabah Hojaye Gi. Is Se Hum Qoumi Zaban Ki Ahmiyat Ka Achi Tarah Andaza Laga Sakhte Hain. Urdu Bhi Humari Shanakht Hai, Humari Sakafat Ka Hissa Hai. Agar Hum Apni Shanakht Hi Kho Dain Ge To Duniya Main Humara Koi Muqaam Nahi Rahe Ga. Main Yahan Yeh Bilkul Nahi Keh Rahi Ke Angrezi Zaban Bolni Hi Nahi Chahiye Yah Sekhni Hi Nahi Chahiye. Zaror Sikhiye, Zaror Boliye Magar Isey Apni Qoumi Zaban Se Bartar Mat Samjhain. Angrezi Zaban Sekhne Main Koi Burai Nahi Magar Apni Qoumi Zaban Ko Bolne Main bhi Koi Sharam Mehsos Nahi Karni Chahiye. Kyun Ke Yeh Duniya Main Humari Shanakht Hi Nahi Balkey Humari Qoumi Tehzeeb Aur Saqafati Asasa Bhi Hai.

14 comments: