Pakistan
Apni Tareekh Ke Aik Barey Almiye Se Guzar Raha Hai. Mulk Bhar Main 2010 Se Le
Kar 2013 Tak Mosamiyati Tabdeeliyon Ki Wajah Se Aney Wale Sailabon Ne Pakistan Ko
Kai Saal Peechey dhakel Diya Hai. Sailabon Ne Jahan Aik Taraf Kai Afrad Ki
Jaanain Li, Lakhon Afrad Ko Be Ghar Kiya Wahin Dosri Taraf Infra Structure Ki
Tabahi o Barbadi Se Hazaron Rupee Ka Nuqsan Alag hua. National Disaster
Management Authority (NDMA) Ki Aik report ke Mutabik 2013 Main Sindh Aur Punjab Main Aney Wale Sailab Main
Takreeban 200 Se Za’id Afrad Halak Aur Takreeban 1.5 Million Log Mutasir Hue, 5,615
Gaon Aur Takreeban 20,312 Gharon Ko
Shadeed Nuqsan Pohcha. Jab ke Saal 2010 Ka Sailab Pakistan
Ki Tareekh Ke Bad Tareen Sailabon Main Shumar Hota Hai Jiss Se Takreeban Pora
Pakistan Hi Mutasir Hua tha Jiss Main 1,800 Afrad Halak Aur Takreeban 21
Million Log Mutasir Hue The.
Hum Sub
Jante Hain Ke Is Waqt Sailaab Zadgaan Ki Kiya Halat Hai. Na Rehne Ko Jaga Hai
Na Khane Ko Roti Aur Na Peeney Ka Saaf Pani.. Kitni Ajeeb Surat e Haal Hain Ke
Har Taraf Pani Hi Pani Hai Lekin Peene Ko Aik Bondh Nahi Hai Aur Khane Ko Dana
Nahi. Kai afrad Apni Jaan Se Hath Dho Bethe To Kai Khandan Gharon se Mehroom
Hogaye. Be Shak Asmani Afat ko Siwaye Allah Ke Zaat Ke Aur Koi Nahi Taal
Sakhta, Magar In Afaat se Bachne Ke Liye Hikmat Amli Naam Ki Bhi Koi Cheez Hoti
Hai. Lekin Isey Hum Apne Mulk Ki Bad Qismati Hi Keh Sakhte Hain Ke Humare Mulk
Main Is Naam Ki Koi Cheez Nahi Pai Jati Jiss Ka Natija Humare Samne Hai. Hukamiti
Idaron Ke Sarbarah Har Sailab Ke Bad Logon Ko Aise Sabz Baagh Dikhate Hain Ke
Isey Dekh Kar Har Koi Yeh Sochne Lagta hai Ke Ayainda Aisi Tabahiyon Aur
Ghaflat ki Nobat hi Nahi Aye Gi. Har Baar Mazboot Hikmat Amli Ke Dawey To
Bohat Kardiye Jate Hain Magar Har Baar Hi Lakhon Log Is Afat Ke Nazar Hojate
hain.
July 2010
Main Sailab Ki Tabah Kariyon Ke Bad Hukumat Ko Is Baat Ka Ehsaas Hogaya Tha Ke
Sailaab Ko Roka To Nahi Ja Sakhta Magar Field Warning system Nasb Kar Ke Logon Ko Waqt se
Pehle Safe Muqamat Par Shift Kar Ke Jani Nuqsanat se Zaror Bacha Ja Sakhta
Hai. Lekin Is Silsiley Main Koi Amli Kam Na Mazi Ki Hukamaton Ne Kiya aur Na
Mojoda Hukumaton Ne Is Sisiley Main Kissi Kaam Ka Aghaz Kiya hai Jiss Ka Nitija
2013 Ke Sailab Main Bughatna Para. Mahireen Ke Mutabik Sailaab Ki Tabah Kari Se
Bachao Ke Liye Zarori Hai Ke Mulk Main Chote Barey Dam Tameer Kiye Jarain. Agar
Pehle se Dam Majood Hote to Guzaishta Kai Saal Se Lagatar Aney Wale Sailabon Se
Itna Nuqsaan Nahi Uthana Parta. Lehaza Ab Zarorat Is Baat Ki Hai ke Hukumat Ko
Is Janib Pori Sanjeedgi Se Tawaja Deni Chahiye Aur Sirf Jhote Dawon Ke Bajaye
Ayainda In Afaat Se Bachne Ke Liye Aik Mazbot Lahma Amal Tayar Karna Chahiye.
Thanks bohat acha essay ha
ReplyDelete